yuuñ to hai sahl har ik kaam kā āsāñ honā
maulvī ke liye dushvār hai insāñ honā
niim uryāñ jo nazar aatī huuñ chalte phirte
koī dushvār hai un ke liye uryāñ honā
baiThne kī jo ijāzat mujhe DevḌhī pe milī
bole ahbāb mubārak tujhe darbāñ honā
maslahat kā thā taqāzā jo baḌhā lī dāḌhī
aqd kī shart thī dīñ-dār musalmāñ honā
bhuul kar bhī na kabhī shaiḳh ko mehmāñ karnā
bhuul kar bhī na kabhī shaiḳh ke mehmāñ honā
ishtihā-ḳhez hai iftārī kī ḳhushbū 'hāshim'
roza-dāroñ na mujhe dekh ke hairāñ honā