jaam thā ḳhum thā subū thā majma-e-ahbāb thā
shaiḳh kā in sab meñ chehra kis qadar shādāb thā
maiñ ne dekhā raat merī god meñ mahtāb thā
aap hī ta.abīr us kī deñ ye kaisā ḳhvāb thā
qais dīvāna tirā ai lailī-e-mahmil-nashīñ
terī sūrat dekhne ko kis qadar betāb thā
vo qulī thā yā thā koī kaaTh kā ullū murīd
piiTh par laade hue jo shaiḳh kā asbāb thā
us ne ye achchhā kiyā jo aqd hī paḌhvā liyā
dil murīdan ke liye jab sūrat-e-sīmāb thā
kyuuñ na dāḌhī apnī kartā jumbish-e-razor kī bheñT
ḳhanda-zan is shakl par jab halqa-e-ahbāb thā
raat bhar maiñ ne sañvārī zulf-e-lailā-e-ġhazal
sher kī aamad thī 'hāshim' yā koī sailāb thā