qadd-e-mauzūñ kā shajar yaad aayā
aur phir us kā samar yaad aayā
phir election kā hai sar meñ saudā
phir unheñ laḳht-e-jigar yaad aayā
chāñd par jaane kā muzhda sun kar
apnā bhūlā huā ghar yaad aayā
Thiik chaurāhe pe maiñ jā baiThā
jab tirā vaqt-e-safar yaad aayā
raah meñ mujh ko vo tanhā jo mile
jaane kyuuñ un kā pidar yaad aayā
dekh kar merī shikasta chappal
un ko 'hāshim' mirā sar yaad aayā