Hashim Azimabadi

phaila hai jal baam pe zulf-e-daraaz ka

Hashim Azimabadi

Patna, Bihar, India

1922
phailā hai jaal baam pe zulf-e-darāz kā
totā uḌe na haath se ahl-e-niyāz kā
dekhī nahīñ hai tum ne hamārī patañg abhī
kyā naam le rahe ho havā.ī-jahāz kā
aamad principal kī hai hoshyār laḌkiyo
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-hā-e-nāz kā
gōgle lagā ke aañkh pe chalne lage hasīñ
vo lutf ab kahāñ nigah-e-nīm-bāz kā
piite nahīñ haiñ des ke sevak bides kī
chukkaḌ pilāo un ko mai-ḳhāna-sāz kā
ai bahr-e-shauq itnā talātum hai nāravā
mastūl gir na jaa.e ḳhirad ke jahāz kā
'hāshim' vo dekhtā jo kisī teddy boy ko
mahmūd naam letā nā hargiz ayaaz kā
Top Urdushayar.com