Mohammad Raees Alvi

hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan

Mohammad Raees Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946
ham hue tasvīr ab pahlā sā vo aalam kahāñ
rañg haiñ sab pairahan meñ kho ga.e haiñ ham kahāñ
muzmahil hai sub.h kā sho.ala dhuāñ hai dasht par
dekhnā hai uḌ ke jaatī hai magar shabnam kahāñ
dast-e-qātil ke liye hoñToñ pe ab bhī marhabā
ḳhūn-e-ahl-e-dil kī ḳhātir sīna-e-mātam kahāñ
dāman-e-dil meñ sameTe haiñ abhī tūfāñ ka.ī
sail-e-ashk-o-nāla-e-ġham ho ga.e haiñ kam kahāñ
dil dhaḌaktā hai har ik aahaT pe ahl-e-hijr kā
jānte haiñ vo ki aa.egā koī is dam kahāñ
uḌ ke aatā hai ġhubār-e-rahguzar āñkhoñ meñ phir
DhūñDhtā huuñ kho gayā hai dīda-pur-nam kahāñ
Top Urdushayar.com