jab dil meñ ġhurūr aa.e to dānā.ī bhī kyā hai
jab raat añdherī ho to bīnā.ī bhī kyā hai
jab Dūbnā Thahrā hai to tūfāñ kā kise ḳhauf
jab ashk samundar hoñ to gahrā.ī bhī kyā hai
jab zaḳhm hoñ siine meñ to phir dard hai kyā chiiz
gulshan meñ mire mauj-e-havā laa.ī bhī kyā hai
phir ġhair ke har jhuuT pe kartā hai yaqīñ vo
phir shauq ko sakta hai ki sachchā.ī bhī kyā hai
phir umr-e-gurezāñ ne kahā jaao chale jaao
kyā us se kahoge vahāñ sunvā.ī bhī kyā hai
phir dil ne kahā hañs ke vo sahrā ho qafas ho
jab us se bichhaḌnā hai to tanhā.ī bhī kyā hai
phir zikr mirā sun ke kahā us ne 'ra.īs' ek
bas chāk-garebāñ hai vo saudā.ī bhī kyā hai