qarār-e-dil fasāna ho gayā hai
tumheñ dekhe zamāna ho gayā hai
tumhāre va.ada-e-fardā kā hiila
qayāmat kā bahāna ho gayā hai
purāne dostoñ ke ghar sunā hai
tumhārā ānā-jānā ho gayā hai
tumhāre zulm ke la.al-o-gohar sab
hamārā dil ḳhazāna ho gayā hai
duā.eñ deñ mire siine ko un kā
bahut achchhā nishāna ho gayā hai
ra.īsāna ġhazal hai bait-dar-bait
ġharīboñ kā Thikāna ho gayā hai