kahīñ pe qais kahīñ kohkan miyāñ likkhā
tumhāre shauq ne kyā kyā kahāñ kahāñ likkhā
likhā tumhīñ ne qafas ko maqām-e-āgāhī
visāl-e-dār kī shab sub.h kī azaañ likkhā
likhā tumhīñ ne lahū se kamāl-e-goyā.ī
tum hī ne ḳhanjar-e-qātil ko hai zabāñ likkhā
likhā tumhīñ ne mirī chashm-e-nam ko qulzum-e-ḳhvāb
tum hī ne us ke tasavvur ko bādbāñ likkhā
tumhīñ ne mauj-e-tamannā ko sar-e-kashīda kahā
tum hī ne ḳhvāhish-e-sāhil ko sargirāñ likkhā
tumhīñ to naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār likhte rahe
tum hī ne kūcha-e-jānāñ ko lā-makāñ likkhā
likhā tumhīñ ne hai sahrā ko dāġh-e-sīna-e-ishq
tum hī ne ābla-pā.ī se kahkashāñ likkhā
likhā tumhī ne mirī bebasī kā saarā hisāb
tumhī ne mujh ko shah-e-ḳhusrav-e-zamāñ likhā
to ab tumhāre liye koī kyā likhegā 'ra.īs'
ki jis ne kuchh na kiyā umr-e-rā.egāñ likkhā