Mohammad Raees Alvi

gala baiTha hai kaTne ki hawas mein hichkiyan bhar kar

Mohammad Raees Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946
galā baiThā hai kaTne kī havas meñ hichkiyāñ bhar kar
chalā hai koī tarkash meñ qafas kī tīliyāñ bhar kar
khaḌe ho bārishoñ kī aas meñ kyā kisht-e-dil vaalo
koī baiThā huā hai bādaloñ meñ bijliyāñ bhar kar
yahāñ to harf kā hoñToñ pe aate dam nikaltā hai
dil-e-dīvāna dāman meñ chalā hai arziyāñ bhar kar
tabassum zer-e-lab bhī ishq ko mauj-e-tasallī hai
samundar so gayā dāman meñ ḳhālī sīpiyāñ bhar kar
kisī ne jab dil-e-barbād kā ahvāl pūchhā hai
bagūle rahguzar kī ḳhaak laa.e muTThiyāñ bhar kar
hamāre shauq kā hāsil hai ye ab koī kyā Thahre
khaḌe haiñ jeb meñ dāman kī apne dhajjiyāñ bhar kar
Top Urdushayar.com