maiñ jo apne haal se kaT gayā to ka.ī zamānoñ meñ baT gayā
kabhī kā.enāt bhī kam paḌī kabhī jism-o-jāñ meñ simaT gayā
yahī haal hai ka.ī saal se na qarār-e-dil na sukūn-e-jāñ
kabhī saañs ġham kī ulaT ga.ī kabhī rishta dard se kaT gayā
mirī jītī-jāgtī fasl se ye sulūk bād-e-sumūm kā
mirī kisht-e-fikr ujaḌ ga.ī mirā zehn kāñToñ se paT gayā
na dayār-e-dard meñ chain hai na sukūn dasht-e-ḳhayāl meñ
kabhī lamha bhar ko dhuāñ chhaTā to ġhubār raah meñ aT gayā
na vo aarzū na vo justujū na vo rañg-e-jāma-e-be-rafū
bhalā is vajūd kā vazn kyā jo madār-e-shauq se haT gayā
na vo kaif-e-shab na vo māh-e-shab na vo kārvān-e-ġhazāl-e-shab
jahāñ zikr-e-hijr-o-visāl thā vo varaq hī koī ulaT gayā