Nami Ansari

ai aabla-pa aur bhi raftar zara tez

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932
ai ābla-pā aur bhī raftār zarā tez
is dasht-e-pur-asrār meñ chaltī hai havā tez
āsār to kuchh aise ḳhatarnāk nahīñ the
kyā jāniye kis tarah ye tūfān huā tez
kuchh abr-o-havā barq-o-sharar se nahīñ matlab
is daur-e-pur-āshob meñ har shai hai sivā tez
kyā mauj-e-suḳhan kyā nafas-e-sā.eqa-parvar
bas ye hai ki ho jaatī hai āvāz-e-anā tez
uThte haiñ sar-e-rāh jahāñ zard bagūle
hotā hai vahīñ raqs-e-junūñ aur sivā tez
shāyad ki rag-e-jāñ meñ lahū zinda hai ab tak
aksar dar-e-zindāñ se ubhartī hai sadā tez
taqdīr-e-mohabbat bhī badal jā.egī 'nāmī'
un hāthoñ pe ho jaa.e zarā rañg-e-hinā tez
Top Urdushayar.com