mujhe kal milā jo sar-e-chaman vo tamām naḳhl-e-shabāb sā
koī baat us kī sharāb sī koī harf us kā gulāb sā
jise zindagī na bhulā sake jise maut bhī na miTā sake
vahī maiñ huuñ 'ġhālib'-e-ḳhasta-jāñ vahī 'mīr'-e-ḳhāna-ḳharāb sā
vo tamām gard fanā huī mire jism-o-jāñ pe jo baar thī
tirī ik nazar meñ simaT gayā mire sar pe thā jo azaab sā
vahī ek manzar-e-ḳhush-adā kahīñ naqsh meñ kahīñ rañg meñ
vahī us kī zulf ġhazal-numā vahī us kā chehra kitāb sā
koī baat us meñ zarūr thī jo mire ḳhayāl meñ rah ga.ī
use kyuuñ fareb-e-nazar kahūñ jise maiñ ne dekhā thā ḳhvāb sā
dil-e-nā-subūr ke vāste koī naqsh-e-nāz bachā nahīñ
ye jahān-e-tāza ye asr-e-nau jise dekhiye tah-e-āb sā
ajab ittifāq thā 'nāmī' ye ki hue baham bhī to kyā hue
na shikasta koī mirī tarah na girafta koī janāb sā