sohbat-e-shab kā talabgār na hogā koī
ḳhauf itnā hai ki bedār na hogā koī
dhuup har samt se niklī to kahāñ jāoge
dasht meñ sāya-e-dīvār na hogā koī
harf-e-ehsās bhī jal jā.egā hoñToñ kī tarah
mudda.ā qābil-e-iz.hār na hogā koī
maiñ ki parvarda-e-sahrā huuñ bikūñgā kaise
dekh lenā ki ḳharīdār na hogā koī
kuchh to hai jis kī tapish zer-o-zabar kartī hai
yūñhī rusvā sar-e-bāzār na hogā koī
saare aalam ko tajassus hai na.ī samtoñ kā
kaise 'ġhālib' kā taraf-dār na hogā koī
kis ko ye ahd-e-junūñ sauñp ke jā.ūñ 'nāmī'
jāntā huuñ ki sazā-vār na hogā koī