Nami Ansari

hawa-e-tund ke aage dhuan Thaharta nahin

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932
havā-e-tund ke aage dhuāñ Thahartā nahīñ
hamāre sar pe kabhī āsmāñ Thahartā nahīñ
hisāb-e-dard karūñ bhī to is se kyā hāsil
nigāh-e-shauq meñ harf-e-ziyāñ Thahartā nahīñ
na rāste kā unheñ ilm hai na manzil kā
hazār gard uḌe kārvāñ Thahartā nahīñ
jahāñ pe sikka-e-zar kī khanak sunā.ī na de
faqīh-e-shahr ghaḌī bhar vahāñ Thahartā nahīñ
qarīb o duur ye afvāh kaisī phail ga.ī
kisī ke ghar meñ koī mehmāñ Thahartā nahīñ
havā-e-sajda ne har āstāñ ko dekh liyā
jabīn-e-shauq pe koī nishāñ Thahartā nahīñ
ham apne aap kī pahchān kyā kareñ 'nāmī'
yaqīñ panaptā nahīñ hai gumāñ Thahartā nahīñ
Top Urdushayar.com