ghar chhoḌā be-samt hue hairānī meñ
kaise kaise dukh jhele nādānī meñ
taaza havā meñ us ke nafas kī ḳhushbū thī
qatra qatra Duub gayā maiñ paanī meñ
kis ne joḌā kyuuñ joḌā mazkūr nahīñ
us kā qissa merī rām-kahānī meñ
chāñd ko aage baḌhnā auj pe jaanā thā
taare TuuTe pal pal ain javānī meñ
kaisā thā vo paikar-e-ḳhūbī kyā kahiye
ā.īna do laḳht huā hairānī meñ
dil pe achānak sabt huā tā-umr rahā
aisā bhī ik aks milā thā paanī meñ
saarī ġhazleñ ik jaisī hī lagtī haiñ
kyā rakkhā hai 'nāmī' jashn-e-ma.ānī meñ