har shai vahī nahīñ hai jo parchhā.iyoñ meñ hai
is ke sivā kuchh aur bhī gahrā.iyoñ meñ hai
ā.īna jis se TuuT ke be-āb ho gayā
vo aks-e-be-navā bhī tamāshā.iyoñ meñ hai
fursat mile to maiñ bhī koī marsiya likhūñ
ik dasht-e-karbalā mirī tanhā.iyoñ meñ hai
kis shahr meñ talāsh kareñ rishta-e-vafā
sunte to haiñ purānī shanāsā.iyoñ meñ hai
dariyā ke zor-o-shor pe bāteñ hazār hoñ
paanī magar vahī hai jo gahrā.iyoñ meñ hai
ghul jaa.e sher meñ to zamīñ āsmāñ bane
vo husn-e-lā-zavāl jo sachchā.iyoñ meñ hai
bekār us ko ahl-e-vafā meñ ginā gayā
'nāmī' kahāñ se aap ke shaidā.iyoñ meñ hai