Nami Ansari

ye bazm-e-shab hai yahan ilm-o-agahi kam hai

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932
ye bazm-e-shab hai yahāñ ilm-o-āgahī kam hai
ka.ī charāġh jale phir bhī raushnī kam hai
isī liye to mirī us se dostī kam hai
vo ḳhud-parast ziyāda hai aadmī kam hai
yahī bahut hai ki paanī ko chhū liyā ham ne
baḌā hai bahr-e-mohabbat shanāvarī kam hai
havā-e-garm chalī yuuñ ki bujh ga.e chehre
guloñ meñ ab ke baras bhī shaguftagī kam hai
kahāñ ke ishq-o-mohabbat kahāñ ke ilm-o-hunar
ḳhumār-e-shauq ziyāda hai āgahī kam hai
ḳhatā hai apnī ki māhaul hai zamāne kā
nigāh-e-garm bahut sulh-o-āshtī kam hai
fazā badalne se dil to badal nahīñ jaate
vo inqalāb hai kyā jis kī zindagī kam hai
ḳhayāl-e-tāza umaDte haiñ bādaloñ kī tarah
mujhe ye ġham ki mirā zarf-e-shā.irī kam hai
mirī duā.eñ sabhī rā.egāñ ga.iiñ 'nāmī'
na āsmān hai raushan na tīrgī kam hai
Top Urdushayar.com