Nami Ansari

mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932
mauj-e-gul barg-e-hinā āb-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
is jahān-e-rañg-o-bū meñ jāvedāñ kuchh bhī nahīñ
phir vahī zauq-e-ta.alluq phir vahī kār-e-junūñ
sar meñ saudā hai to āshob-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ
ik samundar kitnā gahrā mere pas-manzar meñ hai
sāmne lekin zamīn-o-āsmāñ kuchh bhī nahīñ
dhuup kī chādar bhī mil jaa.e to kaafī hai bahut
kachche-pakke mausamoñ kā sā.ebāñ kuchh bhī nahīñ
sub.h kī dahlīz par sote haiñ ab bhī qāfile
vaqt ke sahrā meñ āvāz-e-azāñ kuchh bhī nahīñ
mom ho jaate haiñ patthar narmī-e-guftār se
yuuñ to kahne ko mirī tab-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
dekhiye kab barf pighle kab chale bād-e-sahar
vo to ab tak mehrbāñ nā-mehrbāñ kuchh bhī nahīñ
un ko shāyad ab bhī patthar ke zamāne yaad haiñ
jo ye kahte haiñ ki phūloñ kī zabāñ kuchh bhī nahīñ
shoḳhī-e-taqrīr-e-'nāmī' se ġhalat-fahmī na ho
sach to ye hai mere us ke darmiyāñ kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com