giit mere haiñ magar nūr-e-suḳhan us kā hai
haq to ye hai ki mirā jauhar-e-fan us kā hai
phuul to phuul haiñ kāñToñ kī ravish bhī us kī
bāġhbāñ kuchh bhī kahe rañg-e-chaman us kā hai
sabz mausam kī mire dar pe jo dastak jaagī
maiñ ne jaanā ki yahī tarz-e-suḳhan us kā hai
mauj-e-gul bād-e-sabā rañg-e-chaman āb-e-ravāñ
saare aalam meñ agar hai to chalan us kā hai
us kī pahchān faqat koh-o-samundar se nahīñ
zarra-e-ḳhāk bhī ḳhurshīd-e-vatan us kā hai
is se kyā farq paḌe tarz-e-navā-sanjī par
hamd us kī hai laboñ par ki bhajan us kā hai
maiñ yam-e-vaqt meñ bahtā huā tinkā 'nāmī'
ye zamīñ us kī tamāshā-e-zaman us kā hai