Nami Ansari

jahan pe Dub gaya tha kabhi sitara mera

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932
jahāñ pe Duub gayā thā kabhī sitāra mirā
usī ufuq pe jahāñ-tāb hai nazāra mirā
yahī huā ki parinde fazā meñ tair ga.e
na kaam aa.iiñ mirī bandisheñ na chāra mirā
havā-e-dasht bhī majnūñ-sifat nahīñ hai agar
to is maqām pe shāyad na ho guzāra mirā
abhī to harf-e-tamannā likhā nahīñ maiñ ne
abhī se kyuuñ varaq-jāñ hai paara paara mirā
na aag lagtī na taqsīm-e-jism-o-jāñ hotī
fuġhāñ ki shahr-e-sitam par nahīñ ijāra mirā
vo tīrgī hai ki rāh-e-ḳhayāl bhī gum hai
na āsmān hai raushan na isti.āra mirā
na koī dasht munavvar huā na dar 'nāmī'
navāh-e-ġhair meñ jal bujh gayā sharāra mirā
Top Urdushayar.com