ḳhud aazmā ke bhī da.ave ajal ke dekhte haiñ
dayār-e-shauq meñ ik baar chal ke dekhte haiñ
pighaltī hai ki nahīñ barf-e-nā-shanāsā.ī
kisī kī garam-nigāhī se jal ke dekhte haiñ
ye dasht-e-hū sar-e-gulshan kahāñ se aa niklā
ye mo.ajiza hai to ghar se nikal ke dekhte haiñ
jinheñ milī hī nahīñ chashm-o-dil kī bīnā.ī
tamāshe vo bhī ḳhumār-e-azal ke dekhte haiñ
usī ke zikr se mahfil meñ phuul khilte the
vo aa gayā hai to sab aañkh mal ke dekhte haiñ
kisī ko aaj ke hālāt par qarār nahīñ
hamāre shahr meñ sab ḳhvāb kal ke dekhte haiñ
abhī to lams-e-badan kā hisāb baaqī hai
ta.alluqāt ke pahlū badal ke dekhte haiñ
na koī nāra-e-tahsīñ-numā na dād-e-suḳhan
ki sunñe vaale bhī tevar ġhazal ke dekhte haiñ
na jaane kab sar-e-ā.īna ḳhauf likh jaa.e
ham apnā chehra bhī 'nāmī' sambhal ke dekhte haiñ