nazar milī thī kisī be-ḳhabar se pahle bhī
sadā-e-tishna uThī thī jigar se pahle bhī
ye sehr kam hai ki shādāb ho gayā sahrā
bahe the ashk bahut chashm-e-tar se pahle bhī
nayā nahīñ hai taqāzā-e-shīsha-o-tesha
guzar chukā huuñ maiñ is dard-e-sar se pahle bhī
maiñ ḳhaak chhānne vaalā savād-e-sahrā kā
paḌe the paañv meñ chhāle safar se pahle bhī
hisār-e-lafz-o-bayāñ meñ na rah sakā 'nāmī'
ki āshnā thā maqām-e-hunar se pahle bhī