Nami Ansari

mere KHayal se aage tera nishana paDa

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932
mire ḳhayāl se aage tirā nishāna paḌā
samand-e-shauq pe ik aur tāziyāna paḌā
abhī to ishq o nazar ke hazār pahlū the
gale hamāre kahāñ se ġham-e-zamāna paḌā
parā.e nuur se maiñ kasb-e-faiz kyā kartā
asar paḌā hai kabhī kuchh to ġhā.ebāna paḌā
mujhe bhī qarz chukānā thā us kā ab ke baras
ġhalat nahīñ jo mirā dasht meñ Thikānā paḌā
kisī ke hisse meñ aa.ī ḳhirad kī saffākī
kisī ke haath ġham-e-ishq kā ḳhazāna paḌā
rahā na koī yahāñ sar-ba-sar tahī-dāman
sabhī ke zarf meñ maqdūr phir zamāna paḌā
hazār aañkh dikhāte rahe adū 'nāmī'
ġhazal ġhazal hī rahī farq ik zarā na paḌā
Top Urdushayar.com