yuuñ bhalā tum par sajā kab aa.ine meñ dekhnā
raat ā.ankhoñ meñ kaTe tab aa.ine meñ dekhnā
kaise kaise manzaroñ ke aks haiñ in meñ nihāñ
apnī āñkheñ sochnā jab aa.ine meñ dekhnā
kaise kaise rañg haiñ tanhā.ī kī tasvīr meñ
jab kabhī fursat mile tab aa.ine meñ dekhnā
tum kabhī patthar kī mūrat the magar ab phuul ho
apnī tabdīlī kā matlab aa.ine meñ dekhnā
sāmne ke manzaroñ se haT chukā gard-o-ġhubār
kis kā kaisā aks hai ab aa.ine meñ dekhnā
ḳhud-parastī kī tahoñ meñ ek be-chehra vajūd
khul gayā 'salmān' kal shab aa.ine meñ dekhnā