Raaz Yazdani

sochiye humse taghaful bhi baja hai ki nahin

Raaz Yazdani

Bareilly, Uttar pradesh, India

1906
sochiye ham se taġhāful bhī bajā hai ki nahīñ
ki yahī maqsad-e-arbāb-e-fanā hai ki nahīñ
ziist meñ lamha-e-andoh-jafā hai ki nahīñ
ai mohabbat koī terī bhī ḳhatā hai ki nahīñ
past kar dete haiñ maujoñ ko ubharne vaale
Dūbnā ḳhud na ubharne kī sazā hai ki nahīñ
chhāñv meñ phūloñ kī āñkheñ to michī jaatī haiñ
kaun dekhe ye chaman jaag chukā hai ki nahīñ
haañ mire ishq ne soche the baḌe hañgāme
tū ne chhup chhup ke sahārā bhī diyā hai ki nahīñ
kyā ġhalat ishq ko hai jurm-e-vafā kā iqrār
husn par zahmat-e-bedād-o-jafā hai ki nahīñ
tujh ko bedārī-e-gulshan kī qasam hai ki bahār
zehn-e-insāñ bhī kahīñ jaag rahā hai ki nahīñ
sab haiñ shāhid ke bhulāne kā bahāna kar ke
maiñ ne har vaqt tirā naam liyā hai ki nahīñ
kis ko jiine se hai fursat jo ye soche ki mujhe
koī kaam aur bhī jiine ke sivā hai ki nahīñ
shukriya aap ke ehsās-e-jafā kā lekin
ye karam fitna-e-āġhāz-e-jafā hai ki nahīñ
hai abhī faisla baaqī ki diloñ par ab tak
aap se koī sitam ho bhī sakā hai ki nahīñ
raaz phūloñ pe bahāroñ kā karam hai lekin
yuuñ bhī kaliyoñ kā jigar chaak huā hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com