Raaz Yazdani

is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai

Raaz Yazdani

Bareilly, Uttar pradesh, India

1906
is dar kī sī rāhat bhī do aalam meñ kahīñ hai
jiinā bhī yahīñ hai mujhe marnā bhī yahīñ hai
ab vāqif-e-mafhūm-e-vafā qalb-e-hazīñ hai
ab aap kī bedād bhī bedād nahīñ hai
tum aur mirī ḳhāna-ḳharābī pe tabassum
ummīd se baḌh kar abhī qadr-e-dil-o-dīñ hai
yā tere sivā husn hī duniyā meñ nahīñ thā
yā dekh rahā huuñ ki jo manzar hai hasīñ hai
ye ziist hai yā maut samajh meñ nahīñ aatā
ab dard hai aur dard kī taklīf nahīñ hai
Top Urdushayar.com