Raaz Yazdani

nahin ki apni tabahi ka raaz ko gham hai

Raaz Yazdani

Bareilly, Uttar pradesh, India

1906
nahīñ ki apnī tabāhī kā 'rāz' ko ġham hai
tumhārī zahmat-e-ahd-e-karam kā mātam hai
nisār-e-jalva dil-o-dīñ zarā naqāb uThā
vo ek lamha sahī ek lamha kyā kam hai
kisī ne chaak kiyā hai guloñ kā pairāhan
shuā-e-mehr tujhe e'timād-e-shabnam hai
qazā kā ḳhauf hai achchhā magar is aafat meñ
ye mo.ajiza bhī ki ham jī rahe haiñ kyā kam hai
vo raqs-e-sho.ala vo soz-o-gudāz-e-parvāna
jidhar charāġh haiñ raushan ajiib aalam hai
hudūd-e-dair-o-haram se guzar chukā shāyad
ki ab ijāzat-e-sajda hai aur paiham hai
shamīm-e-ġhuncha-o-gul rañg-e-lāla naġhma-e-mauj
tire jamāl kī jo sharh hai vo mub.ham hai
latāfatoñ se zamāna bharā paḌā hai magar
mirī nazar kī zarūrat se kis qadar kam hai
fareb dil ne mohabbat meñ khaa.e haiñ kyā kyā
har ik fareb par ab tak yaqīn-e-mohkam hai
mirī nigāh kahāñ tak javāb de āḳhir
tirī nigāh kā har har savāl mub.ham hai
abhī to apnī nigāhoñ ke iltifāt ko rok
abhī to manzar-e-hastī tamām mub.ham hai
Top Urdushayar.com