Mushtaq Singh

kabhi nasib ki bhule se bhi sahar na hui

Mushtaq Singh

kabhī nasīb kī bhūle se bhī sahar na huī
baġhair hasrat-o-ġham zindagī basar na huī
sahar qarīb hai sham-e-hayāt bujhtī hai
dayār-e-ġhair meñ yāroñ ko hī ḳhabar na huī
tumheñ qarīb se dekhtā to ḳhud ko pahchānā
shuā-e-hasrat-e-dil ham pe be-asar na huī
kahāñ kahāñ na huī dāstān-e-dil rusvā
vo kū-ba-kū na huī yā ki dar-ba-dar na huī
marīz-e-ishq kā to is qadar fasāna hai
davā ho yā ki duā koī kārgar na huī
uThā.īñ tohmateñ ham ne jahān-bhar kī magar
zarā sī bhuul kī bhī tum se darguzar na huī
agarche mai-kada meñ tishnagī ġhazab kī thī
hamāre vāste hī mehrbāñ nazar na huī
Top Urdushayar.com