Mushtaq Singh

kya karun kuchh bhi samajh aata nahin

Mushtaq Singh

kyā karūñ kuchh bhī samajh aatā nahīñ
vo ḳhayāloñ se mire jaatā nahīñ
kyā ḳhabar chehra kahāñ vo kho gayā
ḳhvāb meñ bhī jo nazar aatā nahīñ
raat jugnū chāñd-tāroñ kā hujūm
dil pareshāñ chain kyuuñ paatā nahīñ
koī sūraj apne dāman meñ liye
ḳhvāb-e-fardā kā nishāñ aatā nahīñ
barf zehnoñ meñ jamī hai is qadar
hādsoñ kā Dar bhī garmātā nahīñ
is qadar dhuñdlā gayā hai aa.ina
koī bhī chehra nazar aatā nahīñ
kis liye un ke tasavvur kā tilism
ab dil-e-'mushtāq' bahlātā nahīñ
Top Urdushayar.com