dil-e-shorīda batā terī ye aadat kyā hai
ham se hī pūchh rahā hai ki mohabbat kyā hai
na mohabbat na muravvat na mulāqāt rahī
gar yahī dostī Thahrī to adāvat kyā hai
ham na kahte the ki yādoñ ko sambhāle rakhnā
ab jo tanhā.ī kā aalam hai to hairat kyā hai
ġhair ko saath liye aa.e ho ham se milne
fitna-añgezī ye kaisī ye qayāmat kyā hai
zulf zanjīr-e-sitam teġh-e-jafā haiñ abrū
dil-e-vahshat-zada ab bachne kī sūrat kyā hai
kaisī be-mehrī se ruḳhsat huā vo toḌ ke dil
pūchh to letā tirī āḳhirī hasrat kyā hai
kis liye zinda huuñ maiñ us se bichhaḌ ke 'mushtāq'
mujh se pūchho ki mire dil meñ nadāmat kyā hai