din ko mismār hue raat ko tāmīr hue
ḳhvāb hī ḳhvāb faqat ruuh kī jāgīr hue
umr bhar likhte rahe phir bhī varaq saada rahā
jaane kyā lafz the jo ham se na tahrīr hue
ye alag dukh hai ki haiñ tere dukhoñ se āzād
ye alag qaid hai ham kyuuñ nahīñ zanjīr hue
diida o dil meñ tire aks kī tashkīl se ham
dhuul se phuul hue rañg se tasvīr hue
kuchh nahīñ yaad ki shab raqs kī mahfil meñ 'zafar'
ham judā kis se hue kis se baġhal-gīr hue