Saqib Lakhnavi

ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
ġhash bhī aayā mirī pursish ko qazā bhī aa.ī
be-muravvat tujhe kuchh sharm o hayā bhī aa.ī
mausam-e-husn to thā fasl-e-jafā bhī aa.ī
saath hī saath javānī kī adā bhī aa.ī
dam kā āñkhoñ meñ aTaknā bhī mubārak na huā
vaqt kī baat tum aa.e to qazā bhī aa.ī
maiñ shab-e-vasl ye samjhā ki sahar bhī kuchh hai
vo jo aa.e to mo.azzin kī sadā bhī aa.ī
un marīzoñ kī ayādat ko vo ab nikle haiñ
maut jā kar jinheñ miTTī meñ milā bhī aa.ī
kar diyā soz-e-darūñ ne mujhe sham.a sar-e-bazm
ban ga.ī dam pe agar paas havā bhī aa.ī
kaan yuuñ un ke bhare haiñ mirī fariyādoñ ne
naale samjhe jo koī aur sadā bhī aa.ī
phir bhī 'sāqib' na uḌī tāla-e-ḳhufta kī niind
aah jā kar mirī gardūñ ko hilā bhī aa.ī
Top Urdushayar.com