Ram Krishn Muztar

mohabbat hasil-e-duniya-o-din hai

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
mohabbat hāsil-e-duniyā-o-dīñ hai
mohabbat rūh-e-arbāb-e-yaqīñ hai
nazar meñ jhuum uThtī haiñ bahāreñ
kisī kī yaad bhī kitnī hasīñ hai
tasadduq ho rahe haiñ māh-o-anjum
nigāhoñ meñ vahī zohra-jabīñ hai
kahāñ mumkin hai us ko bhuul jaanā
ki har ik naqsh us kā dil-nashīñ hai
jahāñ chāhūñ vahīñ mahfil sajā luuñ
mirī har ik nazar husn-āfrīñ hai
vahī vo haiñ jidhar bhī dekhtā huuñ
bas ab un ke sivā koī nahīñ hai
zamāna ho gayā us ik nazar ko
ḳhalish sī aaj tak dil ke qarīñ hai
huā huuñ muddatoñ se ḳhud-farāmosh
magar ye dil tujhe bhūlā nahīñ hai
sahārā mil gayā jiine kā 'muztar'
mujhe un kī mohabbat kā yaqīñ hai
Top Urdushayar.com