shab-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
dāstāñ muḳhtasar nahīñ hotī
jab kisī kī nazar nahīñ hotī
ham ko apnī ḳhabar nahīñ hotī
ba.az auqāt apne dil par bhī
ahl-e-dil kī nazar nahīñ hotī
Dagmagāte nahīñ qadam jis jā
vo tirī rahguzar nahīñ hotī
jis masarrat meñ ġham na ho shāmil
vo kabhī mo'atabar nahīñ hotī
dard jab ḳhud hī apnā darmāñ ho
minnat-e-chāra-gar nahīñ hotī
dil-e-'muztar' se jo nikaltī hai
vo sadā be-asar nahīñ hotī