dil-o-nazar meñ na paidā huī shakebā.ī
kisī ke ġham ne tabī.at hazār bahlā.ī
tamām husn-o-mohabbat tamām ra.anā.ī
vo ik nigāh jo paiġhām-e-zindagī laa.ī
chhalak paḌeñ na kahīñ ashk merī āñkhoñ se
kisī ke dard-e-mohabbat kī ho na rusvā.ī
ġham-e-zamāna ke maare na rah sake zinda
nigāh-e-dost ne kyā kyā na kī masīhā.ī
na ruk sakeñge rah-e-ishq meñ junūñ ke qadam
ki baḌh rahā hai abhī zauq-e-ābla-pā.ī
vo jehd-e-jāma-darī hai na fikr-e-baḳhiyā-garī
ajiib haal meñ haiñ aaj tere saudā.ī
nazar paḌā na kahīñ vo ġhazāl-ram-ḳhurda
junūn-e-shauq ne kī laakh dasht-paimā.ī
mirī tarah to tamāsha na ban sakā koī
agarche ek jahāñ thā tirā tamāshā.ī
qarīb aa ke bhī ehsās-e-buad miT na sakā
ki tere ho ke bhī ham haiñ tire tamannā.ī
jo hirs-o-āz ke bande haiñ un ko kyā mālūm
vaqār-e-bandagī-o-azmat-e-jabīñ-sā.ī
har ek chiiz jahāñ sīm-o-zar meñ tultī hai
mire ḳhulūs kī kyā ho vahāñ pazīrā.ī
ye lāla-o-gul-o-nasrīñ ye anjum-o-mahtāb
kahāñ nahīñ tire jalvoñ kī ālam-ārā.ī
mujhe vo ahd vo din-rāt yaad aate haiñ
ki jab na thī tire ġham se koī shanāsā.ī
shab-e-firāq kī be-tābiyoñ ko kyā kahiye
kabhī kabhī to mire ġham ko bhī hañsī aa.ī
na rah sakā kisī aalam meñ bhī tirā 'muztar'
ki ġham huā na gavārā ḳhushī na raas aa.ī