Ram Krishn Muztar

dard-e-hayat-e-ishq hai naghma-e-jaan-gudaz mein

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
dard-e-hayāt-e-ishq hai naġhma-e-jāñ-gudāz meñ
ġharq hai saarī kā.enāt lazzat-e-soz-o-sāz meñ
shauq kā haal kyā huā dil kā ma.aal kyā huā
ek jahān-e-rāz hai dīda-e-dil-navāz meñ
kaif-e-ḳhud-āgahī bhī hai ālam-e-be-ḳhudī bhī hai
shauq-e-supurdagī bhī hai aaj nigāh-e-nāz meñ
pichhle pahar jo husn ke ruḳh se haTeñ ḳhunuk laTeñ
jaag uThā nayā fusūñ chashm-e-fusūñ-tarāz meñ
aah vo ālam-e-shabāb haa.e vo nashsha-e-sharāb
jhalkā huā vo rañg-e-ḳhvāb nargis-e-nīm-bāz meñ
Top Urdushayar.com