mas.ala ye bhī ba-faiz-e-ishq āsāñ ho gayā
ziist ko andāza-e-ġham-hā-e-daurāñ ho gayā
dil meñ jab ehsās kā sho.ala farozāñ ho gayā
nuur afshāñ har charāġh-e-bazm-e-imkāñ ho gayā
tere lahrāte hī ai jān-e-tarab rūh-e-nashāt
zindagī raqsāñ huī aalam ġhazal-ḳhvāñ ho gayā
is tarah merī bahār-e-zindagī ruḳhsat huī
dil ujaḌ kar rah gayā āġhosh vīrāñ ho gayā
ho ga.ī jab zaḳhma-zan dard-e-mohabbat kī ḳhalish
har nafas ik naġhma-e-sāz-e-rag-e-jāñ ho gayā
anjum-afshāñ ho ga.ī jab merī chashm-e-ashk-bār
dard kī tiira fazāoñ meñ charāġhāñ ho gayā
jis ke ā.īne meñ lākhoñ rañg the jalva-fagan
ḳhvāb sā vo lamha-e-aish-e-farāvāñ ho gayā
maiñ ne har but kī parastish kī kuchh is andāz se
kufr merā lā.eq-e-arbāb-e-īmāñ ho gayā
aah muztar ab vo jalve haiñ na vo ra.anā.iyāñ
har nazāra sāya-e-umr-e-gurezāñ ho gayā