mustaqil diid kī ye shakl nazar aa.ī hai
dil meñ ab aap kī tasvīr utar aa.ī hai
tū ne kis lutf se chheḌā hai unheñ mauj-e-nasīm
jhuum kar zulf-e-siyah tā-ba-kamar aa.ī hai
kah rahe haiñ tirī āñkhoñ ke badalte tevar
ye hañsī aaj ba-andāz-e-digar aa.ī hai
zindagī naach ki vo jān-e-chaman jān-e-bahār
dast-e-rañgīñ meñ liye sāġhar-e-zar aa.ī hai
dil ho masrūr ki āġhosh-e-ḳhizāñ-dīda meñ phir
lahlahātī huī shāḳh-e-gul-e-tar aa.ī hai
vo za-sar-tā-ba-qadam husn kī ik aab liye
jagmagātī huī mānind-e-guhar aa.ī hai
ho na hairāñ ki añdhere haiñ ujāloñ kī dalīl
shaam ke ba.ad hī ai dost sahar aa.ī hai
ban ke ġharqāb safīne kī machaltī huī yaad
sīna-e-bahar pe ik mauj ubhar aa.ī hai
karam-e-rahbar-e-sādiq ke nisār ai 'muztar'
zindagī saḳht marāhil se guzar aa.ī hai