majbūr to bahut haiñ mohabbat meñ jī se ham
ye aur baat hai na kaheñ kuchh kisī se ham
ik shaam ham-suḳhan the chaman meñ kalī se ham
yādash-ba-ḳhair phir na mile zindagī se ham
allāh re vo vaqt vo majbūrī-e-hayāt
ro ro ke ho rahe the judā jab kisī se ham
taklīf-e-iltifāt na kar ai nigāh-e-nāz
ab mutma.in haiñ apne ġham-e-zindagī se ham
haiñ yaad us nazar kī taġhāful-shi.āriyāñ
bā-vasf-e-irtibāt bhī the ajnabī se ham
baḌhtī hī jā rahī haiñ abas bad-gumāniyāñ
nā-āshnā nahīñ haiñ tirī barhamī se ham
ek ik adā-e-husn-e-gurezāñ nazar meñ hai
pāmāl ho rahe haiñ baḌī be-ruḳhī se ham
har-sū hai ek ālam-e-vahshat shab-e-firāq
ghabrā rahe haiñ silsila-e-tīrgī se ham
ġhārat kiyā hai jis ne hamārā sukūn-e-dil
'muztar' sukūn-e-dil ke haiñ ḳhvāhāñ usī se ham