Ram Krishn Muztar

raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
raqs-e-shabāb-o-rañg-e-bahārāñ nazar meñ hai
ye tum nazar meñ ho ki gulistāñ nazar meñ hai
ik raushnī se ālam-e-dil jagmagā uThā
vo haiñ ki āftāb-e-daraḳhshāñ nazar meñ hai
ahl-e-junūñ se kījiye ab chāk-e-dil kī baat
dāman nazar meñ hai na garebāñ nazar meñ hai
un ke karam se baḌhne lage dil ke hausle
andāz-e-iltifāt-e-farāvāñ nazar meñ hai
sau husn le ke aa.ī hai duniyā-e-ārzū
ārā.ish-e-hayāt kā sāmāñ nazar meñ hai
baḌhtī hī jā rahī haiñ mirī be-qarāriyāñ
jab se kisī kī zulf-e-pareshāñ nazar meñ hai
nazzāra-e-jamāl kiye der ho chukī
ab tak faroġh-e-bazm-e-hasīnāñ nazar meñ hai
halqa banā ke naach rahī haiñ tajalliyāñ
kis mah-jabīñ kā chehra-e-tābāñ nazar meñ hai
shāyad usī ke dam se hai qaa.em ummīd-e-zīst
ik jāñ-faroz sham-e-farozāñ nazar meñ hai
ham bhī nigāh-e-dost se nā-āshnā nahīñ
har inqilāb-e-gardish-e-daurāñ nazar meñ hai
'muztar' ko apne baḳht-e-rasā par hai aaj naaz
āqā-'hasan' kī bazm-e-gul-afshāñ nazar meñ hai
Top Urdushayar.com