Ram Krishn Muztar

meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
mirī nigāh meñ ye rañg-e-soz-o-sāz na ho
tire karam kā agar silsila darāz na ho
umiid chashm-e-taġhāful-shi.ār se kab thī
is iltifāt-e-farāvāñ meñ koī raaz na ho
hamāre hāl-e-pareshāñ pe ik nazar bhī nahīñ
niyāz-mand se itnā tū be-niyāz na ho
kisī ne toḌ diye barbat-e-hayāt ke taar
ab aur kyā ho agar āh-e-jāñ-gudāz na ho
nazar na aa.e kahīñ ye bahār kā aalam
agar tasavvur-e-rū-e-chaman-tarāz na ho
chalā to hai magar ai rahrav-e-rah-e-irfāñ
haqīqatoñ kī bhī manzil kahīñ majāz na ho
jo us ke husn kī parchhā.iyāñ na aa.eñ nazar
to ruuh garm-e-tavāf-e-harīm-e-nāz na ho
hai ek fitna-e-bedār husn-e-ḳhvābīda
sambhal ki ghaat meñ vo chashm-e-nīm-bāz na ho
shab-e-firāq na kaaTe kaTe kabhī 'muztar'
ḳhayāl-e-dost agar ġham meñ dil-navāz na ho
Top Urdushayar.com