Ram Krishn Muztar

kya ghazab hai ki mulaqat ka imkan bhi nahin

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
kyā ġhazab hai ki mulāqāt kā imkāñ bhī nahīñ
aur ab us ko bhulānā koī āsāñ bhī nahīñ
kise dekhūñ kise āñkhoñ se lagā.ūñ ai dil
rū-e-tābāñ bhī nahīñ zulf-e-pareshāñ bhī nahīñ
aur haiñ aaj Thikāne tire dīvānoñ ke
koh-o-sahrā bhī nahīñ dasht-o-bayābāñ bhī nahīñ
jaane kyā baat hai sab ahl-e-junūñ haiñ ḳhāmosh
aaj vo silsila-e-chāk-e-garebāñ bhī nahīñ
ġham-e-pinhāñ nazar aatā hai mujhe dushman-e-jāñ
haa.e ye dard ki jis kā koī darmāñ bhī nahīñ
kaun jaane mirā anjām sahar tak kyā ho
aaj koī dil-e-bīmār kā pursāñ bhī nahīñ
haa.e ye ghar ki ab is meñ nahīñ bastā koī
haif ye dil ki ab is meñ koī armāñ bhī nahīñ
uf ye tanhā.ī ye vahshat ye sukūt-e-shab-e-tār
aur shabistāñ meñ koī sham-e-farozāñ bhī nahīñ
saath us gul ke gayā dil se gulistāñ kā ḳhayāl
ab mujhe ārzū-e-fasl-e-bahārāñ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com