phir bhiig chalīñ āñkheñ chalne lagī purvā.ī
har zaḳhm huā taaza har choT ubhar aa.ī
phir yaad koī aayā phir ashk umaD aa.e
phir ishq ne siine meñ ik aag sī bhaḌkā.ī
barbād-e-mohabbat kā aalam hī ajab dekhā
sau baar lahū royā sau baar hañsī aa.ī
rahtā hai ḳhayāloñ meñ phirtā hai nigāhoñ meñ
ik shāhid-e-rañgīñ kā vo ālam-e-ra.anā.ī
kis rañg se gulshan meñ vo jān-e-bahār aayā
āñchal kī havā aa.ī zulfoñ kī ghaTā chhā.ī
phir sehn-e-gulistāñ meñ ik mauj huī raqsāñ
phir merī nigāhoñ meñ zanjīr sī lahrā.ī
ai husn tire dar kī azmat hai nigāhoñ meñ
kab ishq ko aate the ādāb-e-jabīñ-sā.ī
kyā kyā dil-e-muztar ke armān machalte haiñ
tasvīr-e-qayāmat hai zālim tirī añgḌā.ī
ik rūh-e-tarannum ne ik jān-e-taġhazzul ne
phir aaj na.ī dhun meñ 'muztar' kī ġhazal gaa.ī