mirī zindagī bhī tū hai mirā mudda.ā bhī tū hai
maiñ tujhī ko chāhtā huuñ tū hī merī aarzū hai
kise DhūñDhtī haiñ har-sū mirī be-qarār nazreñ
tū ye ḳhuub jāntā hai mujhe kis kī justujū hai
mirī chashm-e-husn hī meñ tire ruḳh kī tābisheñ haiñ
mire halqa-e-nazar meñ tirī zulf-e-mushk-bū hai
jo karam pe tum ho maa.il to ye shaan hai tumhārī
na savāl kyuuñ karūñ maiñ ki savāl merī ḳhū hai
mirī ruuh ḳhush hai 'muztar' ki mirī talab hai sādiq
jo nazar se chhup rahā thā vahī aaj rū-ba-rū hai