Ram Krishn Muztar

mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
mere tasavvurāt meñ ab koī dūsrā nahīñ
aap ko jāntā huuñ maiñ ġhair se vāstā nahīñ
dekh tū ai nigāh-e-dost kyā tujhe dil diyā nahīñ
kaun hai mujh se āshnā tū agar āshnā nahīñ
dil ko sukūn kar atā jaan ko baḳhsh de qarār
tere karam kī der hai dard ye lā-davā nahīñ
jis se na ho mirā guzar rah nahīñ tirī rahguzar
jis pe na merā sar jhuke vo tirā naqsh-e-pā nahīñ
chashm-e-karam kā shukriya pursish-e-ġham se fā.eda
kyā mirī bebasī kā haal aap par ā.īna nahīñ
ek hasīn ahd kī yaad dilā ke rah ga.ī
un kī nazar ne dil se aaj aur to kuchh kahā nahīñ
kyuuñ na karam ke vāste aap se iltijā karūñ
aap batā.eñ kyā mujhe aap kā aasrā nahīñ
dil meñ hai aks aap kā lab pe hai naam aap kā
aap kā 'muztar'-e-hazīñ aap ko bhūltā nahīñ
Top Urdushayar.com