bahāreñ aur vo rañgīñ nazāre yaad aate haiñ
vo dilkash vādiyāñ vo māh-pāre yaad aate haiñ
mohabbat ke vo jāñ-parvar sahāre yaad aate haiñ
tirī āġhosh meñ jo din guzāre yaad aate haiñ
vo mausam vo samāñ vo din vo sub.h-o-shām vo rāteñ
vo hañste nāchte gaate sitāre yaad aate haiñ
vo jhīleñ vo chaman vo ġhuncha-o-gul aur vo sabza
mire dil ko vo manzar pyāre pyāre yaad aate haiñ
masarrat-baḳhsh thā kitnā tarannum ābshāroñ kā
vo lahreñ vo sukūñ-parvar kināre yaad aate haiñ
vo jalve husn ke vo shāhid-e-rañgīñ kī ra.anā.ī
shabāb-e-kaif-o-mastī ke vo dhāre yaad aate haiñ
vo zulfeñ vo adā.eñ aur vo rañg-e-lab-o-āriz
ġhazālīñ añkhḌiyoñ ke vo ishāre yaad aate haiñ
nashāt-e-rūh ai merī bahār-e-zindagī mujh ko
tire pahlū meñ jo lamhe guzāre yaad aate haiñ