ye TuuTī kashtiyāñ aur bahr-e-ġham ke tez dhāre haiñ
kināroñ se haiñ ummīdeñ na maujoñ ke sahāre haiñ
nahīñ ma.alūm kyā kyā rañg badlegī abhī duniyā
nigāh-e-vaqt ke ai dil bahut nāzuk ishāre haiñ
mire aañsū to jazb-e-ḳhāk ho kar rah ga.e kab ke
daraḳhshāñ un kī palkoñ par abhī tak kuchh sitāre haiñ
hamārī aur tumhārī zindagī meñ farq hī kyā hai
vahī bāteñ tumhārī haiñ vahī qisse hamāre haiñ
ibārat hai unhīñ se dāstān-e-zindagī 'muztar'
kisī kī yaad meñ jo zindagī ke din guzāre haiñ