Ram Krishn Muztar

KHiraman shahid-e-simin badan hai

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
ḳhirāmāñ shāhid-e-sīmīñ badan hai
qayāmat āsmānī pairahan hai
tabassum hai ki mauj-e-nūr-o-nik.hat
nazar hai yā mohabbat kī kiran hai
mirī mastī kā andāza hai kis ko
nigāh-e-nāz merī ham-suḳhan hai
vo merī zindagī par hukmarāñ haiñ
mire bas meñ na ye tan hai na man hai
hazāroñ rañg haiñ merī nazar meñ
tasavvur meñ kisī kī anjuman hai
ḳhayāloñ meñ mire lahrā rahī haiñ
vo zulfeñ jin meñ bū-e-yāsaman hai
abhī is meñ ḳhizāñ aane na paa.e
ye nau-ras ārzūoñ kā chaman hai
kahāñ ab vo mazāq-e-sarfaroshī
zabāñ par qissa-e-dār-o-rasan hai
nahīñ badle tire 'muztar' ke andāz
vahī mastī vahī dīvāna-pan hai
Top Urdushayar.com