Muzdam Khan

chashm ka kar raha hun tar tabdil

Muzdam Khan

chashm kā kar rahā huuñ tar tabdīl
ho nahīñ pā rahā magar tabdīl
ik zarūrat ko dūsrī ke saath
log karte haiñ umr bhar tabdīl
vahāñ phir ishq ke hue matlab
jahāñ hote the sirf ghar tabdīl
ye to bas thaan hai rakho tum haath
hone lag jaa.e dil kā bar tabdīl
ek laḌkī bhī is meñ rahtī hai
dil karo mujh se soch kar tabdīl
jab bhī nazdīk hotī hai manzil
phir se ho jaatā hai safar tabdīl
dekh kar manDiyoñ kī sūrat-e-hāl
kar rahā hai shajar samar tabdīl
meñ vo mayyat huuñ jis kī zinda se
ho ga.ī hai kahīñ ḳhabar tabdīl
na.e māhaul meñ uḌeñge vo
jo parinde kareñge par tabdīl
vasl kā lutf ho gayā barbād
tum ne kyuuñ kī agar magar tabdīl
achchhī āñkheñ badal ke dekhā hai
nahīñ hotī burī nazar tabdīl
ki kisī rah pe vo mile 'muzhdam'
roz karte haiñ rahguzar tabdīl
Top Urdushayar.com