musāfir ko safar kā mas.ala hai
agar to hai magar kā mas.ala hai
sahāfī ko tire kachche makāñ se
hai lenā kyā ḳhabar kā mas.ala hai
maiñ sāhab mārne aayā huuñ tum ko
ye mere apne sar kā mas.ala hai
ghaḌī par vaqt dekho kyā huā hai
mujhe jaanā hai ghar kā mas.ala hai
ye hafte yā mahīne kā nahīñ hai
mohabbat umr bhar kā mas.ala hai
nahīñ ki tum nahīñ ho ḳhūb-sūrat
mujhe thoḌā satar kā mas.ala hai
gutter kaise khulā aur kyuuñ khulā hai
bhalā ye bhī gutter kā mas.ala hai
hamārī muflisī bhī ishqiya hai
ki aalū hai maTar kā mas.ala hai